Khoj

Teri har khoobsurat jhooth ko sach maan loon, aisi maasomiyat dhoondhta hoon,
Bas tera chehra dekhta hoon aur usmein aage ka rasta dhoondta hoon.

Toot ke bikharna to sikha hi diya zindagi ne, ab zara simatke jeene ka hausla dhoondta hoon. Tere baahon mein aisi bhi raatein guzri ki bas sab bhula diya, main ab unmein agli subah ka sooraj bhi dhoondta hoon.

Tum nibhaa na paaye rishta uska ghum nahi kiya maine, tere diye huye har jawaabon ke ab main sawaal dhoondta hoon.
Thodi der ka jo saath raha tumhara, usimein khudko kho diya hai maine...ab bas tumhari ghair maujoodgi mein apni aks-e-rooh dhoondta hoon.

Ye khoj, ye talaash kab khatm hogi meri, jis jheel ke saamne khada hoon, uski paani ke liye main zubaan pe apni pyaas dhoondta hoon.
Jo mil jaaye aaj manzil bhi, to shaayad rukna manzoor na hoga mujhe, ab kisi aur sheher mein, koi aur hi thikana dhoondta hoon.

Note - I don't usually write in Hindi but this one just wrote itself. I would have preferred to use devnaagri script for this, but just couldn't figure it out on my phone. Hope you guys find it interesting.

Comments

Popular posts from this blog

Why Fighting Propaganda is an Uphill Battle

Instant Connection. Or Not?

Juice Review: Raw Pressery 100% Valencia Orange

26th February, 2017 5:30 AM

Quick Link to All My Story Series & Selected Articles