Kuch Sawaal Aaj Ye Bhi The...

Waqt pe saath nibha na paye, aaj wafa ki ummeed karte hain...
Mere humraah bhi ajeeb hain, bewafai mein rehnuma ki ummeed karte hain.

Bhula diya hai humne bhi saari un alfaz-e-mohabbat, un bekaar ki baaton ko...
Kahaan aap banjar sunsaan galiyon mein aake mehfil-e-aab ki ummeed karte hain.

Khairiyat se rahein aap, ye dua bhi maang lenge kudrat se...
Ab ajnabee hain hum, begaane naqshon pe akele safar karte hain.

Aapke aage jahan aur bhi thi, ye ilm to tha tab bhi humein lekin...
Aakhirash jab bicchde to ehsaas kiya ki hum khudse bhi kaafi mohabbat karte hain.

Humse bayaan-e-haal kis ummeed se karne chale ho, ai ajnabee musafir...
Aapke awaaraa kadam kab se humare khushiyon ka khayaal karte hain?

Comments

Post a Comment

If you love this blog, let us know!!!

Popular posts from this blog

Why Fighting Propaganda is an Uphill Battle

Instant Connection. Or Not?

Juice Review: Raw Pressery 100% Valencia Orange

26th February, 2017 5:30 AM

Quick Link to All My Story Series & Selected Articles