Kuch Baatein Kehni Thi Tumse...
"A feeling which soon became a verse, a flood and a storm. Do read this poem with a lovelorn heart and celebrate new-found love."
Ab jiye thoda aur, ke phir mar jaye hum?
Ab jiye thoda aur, ke phir mar jaye hum?
Tere labon pe hasi dekh thoda bikhar jaye hum.
Tere aankhon mein shararat ka tinka sa jo hai,
Usi tinke ke chaaro or aaj simat jaye hum.
Tujhse koi rishta ho na ho, koi lagav sa lagta hai,
Marham tadapte dil pe, aaj ghaav sa lagta hai,
Tu dekh le aaj aankhon se, aur dil shadaab kar de.
Haathon mein tera haath ho to sach bhi zara khwaab sa lagta hai.
Teri ek jhalak paane ko dil ab bekaraar sa rehta hai,
Lafzon mein mere na chahte hue bhi kuch ikraar sa rehta hai,
Gaye dinon mein haar aur thokar ka aadi tha jo dil,
Aaj tere siyasat mein wahan kuch pyaar sa rehta hai.
Tera saath na mile to bhi aaj shayad ghum na karun,
Bichad jayein aaj hum to bhi yeh aankhein nam na karun,
Ye dil ajeeb hai, awaraa aaj tere haj pe nikla hai,
Raah pe agar aaj zakhm mile, to bhi ye ibadat kam na karun.
Kabhi teri tasveer se, kabhi tujhse baatein kar leta hoon,
Teri yaadon mein kho kar ab dinon ko raatein kar leta hoon.
Aashiqui keh lo ise, ya koi aur naam se pukaar lo,
Shaam ki roti na bhi mile to teri muskurahat se pet bhar leta hoon.
Kuch toh baat thi humaari us mulaqaat mein,
Us din mein, us shaam mein, aur us haseen raat mein,
Tujhse mila aur tujhme hi kahi kho sa gaya main,
Aankh se giri ek ashkh, aur mil gayi jaise barsaat main.
Tum ab samajh paye mere dil ki baatein to ishaara kar lena,
Apne rooh ke khanabadosh kashti ko phir kinaara kar lena,
Aur na bhi samajhe is pagalpan ko, to bhi koi baat nahi,
Kisi aur ke mohabbat se aage ka guzaara kar lena.
awesome bro keep it up ...............................
ReplyDeleteread my poem in hindi .............u like it
ReplyDeletehttps://aktiwari1989.blogspot.com/2021/04/blog-post_663.html
यूँ छुपाया न करो हमें दुनिया से....जानाँ
तुम्हारी मोहब्बत हूँ.......कोई गुनाह नहीं....!!
अंकित तिवारी