Zakhm se Janme Do Shabd!!!

Jab bhi tujhe dekhoon, ankhon mein fariyaad si rehti hai,
Hazaron khwahishen hoti hai, aur ek muraad si rehti hai,
Tujhe maangoon ya tujhme kho jaaoon yahi sochta rehta hoon,
Kyun na jane dhadakte dil ko teri firaaq si rehti hai.

Teri berukhi ke charche bhi kar chuka aur misaal bhi de di,
Shabdon mein likha dil ki majboori ko, aur labon se guhaar bhi de di,
Bas tu kahin kisi ke dhyaan mein baitha hai aise, ki meri dua tujh tak pahunchti hi nahi,
Dekh na kaise dil aaj zakhmi hai mera, aur uski pukaar tujh tak pahunchti hi nahi.

Ab ummeedon ke jharokhon se jhaankte hai mere armaan kaee,
Tere khwaabon ke idgaah mein goonjte hain mere azaan kaee,
Aks-e-aarzoo ko tu parakh le ik baar, shayad samajh aayega tujhe,
Kitne sooni, kitni banjar reh jaye tere bina ye dil, ki inme koi shaqs na reh paye kabhi.

Main har roz teri aane ke intezaar mein raahein taakta hoon,
Hawa se teri khabar poochta hoon, fiza se teri khairiyat maangta hoon,
Musaafir tu bhi malaal ka hai, zakhm se waakif tere bhi paaon hai,
Nakaam mohabbat ki jhulasti dhoop kitni zaalim hai ye sochta hoon.

Comments

Popular posts from this blog

Why Fighting Propaganda is an Uphill Battle

Instant Connection. Or Not?

Juice Review: Raw Pressery 100% Valencia Orange

26th February, 2017 5:30 AM

Quick Link to All My Story Series & Selected Articles