Posts

Showing posts with the label Shayari

मैं अपने कहानी का मुख्य किरदार

Image
  हर कोई अपने love story को ultimate और epic समझता है Breakup का शायद यही side effect है। पर कौन बताए इस आशिक़ को, कौन समझाए ये बात, की काफी humdrum , run of the mill कहानी थी तुम्हारी। ना love at first sight था, ना कोई आसमानी connection , बस दो टूटे हुए शख्स मिले थे एक दूसरे का सहारा बनने को।   जितने मौसम साथ गुज़ारे, थे बड़े ही यादगार, वो milkshake वाली शामे, वो कहानियों से भरी दोपहरियाँ, वो रातों को छुप छुप कर landline से किए हुए calls , वो पहला kiss , वो पहला scented un - named love letter , और वो future वाले plans जो बना रहे थे हम दो बेवकूफ future से अनजान।   दोष किताबों का है साहब, Iliad और Odyssey पढ़ते पढ़ते, हम भी सोचने लगे की story epic है हमारी, हमने भी बचपन में गरीबी देखी है और दुख भी, Rags to riches हमारी कहानी को भी बोल सकते हो। इस गलतफहमी के साथ अपने life  को approach करते रहे, पर वो छूटा तो पहली बार एहसास हुआ की शायद इतना special भी कुछ था नहीं। ना ही हमारे प्यार में और ना हमारे ज़िंदगी में।   दोष फिल्मों...

Kuch Baatein Kehni Thi Tumse...

Image
"A feeling which soon became a verse, a flood and a storm. Do read this poem with a lovelorn heart and celebrate new-found love." Ab jiye thoda aur, ke phir mar jaye hum? Tere labon pe hasi dekh thoda bikhar jaye hum. Tere aankhon mein shararat ka tinka sa jo hai, Usi tinke ke chaaro or aaj simat jaye hum. Tujhse koi rishta ho na ho, koi lagav sa lagta hai, Marham tadapte dil pe, aaj ghaav sa lagta hai, Tu dekh le aaj aankhon se, aur dil shadaab kar de. Haathon mein tera haath ho to sach bhi zara khwaab sa lagta hai. Teri ek jhalak paane ko dil ab bekaraar sa rehta hai, Lafzon mein mere na chahte hue bhi kuch ikraar sa rehta hai, Gaye dinon mein haar aur thokar ka aadi tha jo dil, Aaj tere siyasat mein wahan kuch pyaar sa rehta hai. Tera saath na mile to bhi aaj shayad ghum na karun, Bichad jayein aaj hum to bhi yeh aankhein nam na karun, Ye dil ajeeb hai, awaraa aaj tere haj pe nikla hai, Raah pe agar aaj zakhm mile, to bhi ye ibadat ...

Kuch Sawaal Aaj Ye Bhi The...

Image
Waqt pe saath nibha na paye, aaj wafa ki ummeed karte hain... Mere humraah bhi ajeeb hain, bewafai mein rehnuma ki ummeed karte hain. Bhula diya hai humne bhi saari un alfaz-e-mohabbat, un bekaar ki baaton ko... Kahaan aap banjar sunsaan galiyon mein aake mehfil-e-aab ki ummeed karte hain. Khairiyat se rahein aap, ye dua bhi maang lenge kudrat se... Ab ajnabee hain hum, begaane naqshon pe akele safar karte hain. Aapke aage jahan aur bhi thi, ye ilm to tha tab bhi humein lekin... Aakhirash jab bicchde to ehsaas kiya ki hum khudse bhi kaafi mohabbat karte hain. Humse bayaan-e-haal  kis ummeed se karne chale ho, ai ajnabee musafir... Aapke awaaraa kadam kab se humare khushiyon ka khayaal karte hain?