Dil Toota aur Ek Aah Tak Na Nikli


Dil toota aur ek aah tak na nikal paayi,
Teri baaton mein aaj meri koi na zikr aayi,
Tere baahon mein ek jo raat guzri nazuk si,
Aisi raat thi ki phir subah savere hijr aayi.

Main roya kabhi, bina ek aansu bahaye,
Tu saath raha jaise bin saath nibhaye,
Teri berukhi mein bhi khushi ke mauke mile aise,
Ki meri mohhabbat teri rooh ko fateh kar jaaye.

Kab tak khud se yeh naraazgi paal sakoge?
Kab tak meri har baat isi tarah taal sakoge?
Main to aashiq hoon, zehan pe ghar kar jaunga,
Khud se door shaayad kar bhi lo, par dil se kaise nikaal sakoge?

Dil ki baat aaj aur tumhe batayenge nahi,
Tumhe iss tarah se phir satayenge nahi,
Ek baar khud bhi apne dil se pooch lena tum,
Chale gaye kahin hum to yaad ayenge ki nahi?

Aisi bhi kya dushmani hai tumhari khushi se?
Bheegi raaton ka koi sawaal ho jaise tishnagi se.
Main samandar bhi aur kashti bhi ban jaunga,
Tum aazma ke zara dekh lena, thodi si dillagi se.

Ab na peeche hat paunga, aur na ruk paunga,
Rok lo mujhe warna is junooniyat mein shayad toot jaunga,
Aur jab roko mujhe tum, to mera saath de dena,
Warna be-sahaara shayad main aaj bikhar jaunga.

Comments

Post a Comment

If you love this blog, let us know!!!

Popular posts from this blog

Why Fighting Propaganda is an Uphill Battle

Instant Connection. Or Not?

Juice Review: Raw Pressery 100% Valencia Orange

26th February, 2017 5:30 AM

In The Name of Ram...